اردو हिंदी
Dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko | Shaahi Shayari
dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko

Ghazal

Dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko

Azhar Faragh

;

dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko
hum ne samjha nahin dariya ki pareshani ko

ye nahin dekhte kitni hai riyazat kis ki
log aasan samajh lete hain aasani ko

be-ghari ka mujhe ehsas dilane wale
tu ne barta hai meri be-sar-o-samani ko

sharmsari hai ki rukne mein nahin aati hai
KHushk karta rahe kab tak koi peshani ko

jaise rangon ki baKHili bhi hunar ho 'azhar'
ghaur se dekhiye taswir ki uryani ko