Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein
bana paDa hai yar ke pa-e-nigah mein
har-dam jo main khaTakta hun un ki nigah mein
manind-e-KHar uThte hain aghyar rah mein
ghar us ke dil mein kar ke gai muft apni jaan
kashti hamari Dub gai aa ke thah mein
har-dam wo silk-e-gauhar-e-viran hun ghurta
moti piro raha hun main tar-e-nigah mein
milta nahin hai manzil-e-maqsad ka rahbar
rahzan hi se ho kash mulaqat rah mein
aane ka un ke koi muqarrar nahin hai din
aa nikle ek bar kahin sal o mah mein
chhina gali mein apne hasinon ne naqd-e-dil
luTa hai rahzanon ne musafir ko rah mein
karti hai qatl banki ada us ki KHalq ko
paTTha laga hai tegh ka teri kulah mein
laDte hi us se aankh fana the habab-war
bahr-e-qaza ka ghaT hai tegh-e-nigah mein
dil aa gaya zaqan pe teri yak-ba-yak mera
girta hai koi dida-o-danista chah mein
KHush-chashm tu wo hai ki ghazalan-e-hind-o-chi
aage tere samate nahin hain nigah mein
hai shor aamad-amad qatil jo dair se
hangama jaan-nisaron ka hai qatl-gah mein
kya tum ko KHat-e-zist hai itna to puchhta
hoti agar KHizr se mulaqat rah mein
ai sarw-e-qad gaya hun pai-e-sair-e-bagh jab
lipTa hun shajar se tere ishtibah mein
KHurshid-o-mah ki bhi jhapakti hai aksar aankh
zarron ki wo chamak hai teri gard-e-rah mein
aana hai o shikar-e-fagan gar tujhe to aa
ummid-war said hain naKHchir-gah mein
sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein
ghaflat ye hai kisi ko nahin qabr ka KHayal
koi hai fikr-e-nan mein koi fikr-e-jah mein
kahte hain dekhte hain mubassir agar use
ye jins-e-be-baha hai hamare nigah mein
kya dun main us ke chehra-e-pur-nur se misal
dhabba laga hua hai baDa ru-e-mah mein
tirchhi nazar se us ne jo dekha yaqin hua
bal paD gaya hai yar ki tegh-e-nigah mein
aghyar munh chhupaenge hum se kahan talak
hogi kabhi to hum se mulaqat rah mein
fariyaad ras ke pahunchi na fariyaad kan tak
arman rah gaya ye dil-e-dad-KHwah mein
manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor
koi nahin sharik kisi ke gunah mein
Ghazal
Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein
Arshad Ali Khan Qalaq