اردو हिंदी
Donon-jahan ko zinat-e-daman kiye hue | Shaahi Shayari
donon-jahan ko zinat-e-daman kiye hue

Ghazal

Donon-jahan ko zinat-e-daman kiye hue

Jafar Abbas Safvi

;

donon-jahan ko zinat-e-daman kiye hue
baiTha hun dil mein aap ko mehman kiye hue

nazzara-e-jamal mayassar ho kis tarah
aae hain aap zulf pareshan kiye hue

diwane ja rahe hain teri justuju mein aaj
daman ki dhajjiyon ko gareban kiye hue

aao janab-e-shaiKH chalo mai-kada chalen
arsa hua hai mai-kada viran kiye hue

kis samt ja raha hai kidhar le chala mujhe
kambaKHt dil tasawwur-e-jaanan kiye hue

'jafar' main un ki rah mein baiTha hun muddaton
daghon se dil ke jashn-e-charaghan kiye hue