donon jaanib qaid-shuda is KHush-fahmi mein rahte hain
sarhad ke us par parinde aazadi mein rahte hain
sham talak aadab bajate gardan dukhne lagti hai
payaade ho kar shahon wali aabaadi mein rahte hain
gar roe to aankhon ke sab bashinde bah jaenge
hae shikasta KHwab hamare is basti mein rahte hain
zina-dar-zina jab teri yaad utar kar aati hai
munh bae ashaar hamare hairani mein rahte hain
us ki bak-bak ghar se chal kar chand talak ho aati hain
aur hum gum us ke honTon ki turpai mein rahte hain
chaar kitaben sath nahin aur sau ghazlen kah bhi marin
ab ke likhne wale jaane kis jaldi mein rahte hain
aadhi raat ghazal kahne ka shauq kise hai 'saurabh'-ji
bas itni si baat hai tab hum tanhai mein rahte hain

Ghazal
Donon jaanib qaid-shuda is KHush-fahmi mein rahte hain
Prabudha Saurabh