اردو हिंदी
Donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha | Shaahi Shayari
donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha

Ghazal

Donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha

Zubair Rizvi

;

donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha
qatil-e-shahr se par rabt raqibana tha

wo khule jism phira shahr ke bazaron mein
log kahte hain ye iqdam dilerana tha

band muTThi mein meri rakh thi tabiron ki
us ki aankhon mein bhi ek KHwab marizana tha

laghzish-e-pa bhi har ek gam thi saya saya
zindagi tujh se talluq bhi sharifana tha

tum jahan apni masafat ke nishan chhoD gae
wo guzargah meri zat ka virana tha

sunte hain apni hi talwar use kaT gai
dosto hum mein jo ek shaKHs harifana tha