اردو हिंदी
Donon hain un ke hijr ka hasil liye hue | Shaahi Shayari
donon hain un ke hijr ka hasil liye hue

Ghazal

Donon hain un ke hijr ka hasil liye hue

Qamar Jalalvi

;

donon hain un ke hijr ka hasil liye hue
dil ko hai dard dard ko hai dil liye hue

dekha KHuda pe chhoD ke kashti ko naKHuda
jaise KHud aa gaya koi sahil liye hue

dekho hamare sabr ki himmat na TuT jae
tum raat din satao magar dil liye hue

wo shab bhi yaad hai ki main pahuncha tha bazm mein
aur tum uThe the raunaq-e-mahfil liye hue

apni zaruriyat hain apni zaruriyat
aana paDa tumhein talab-e-dil liye hue

baiTha jo dil to chand dikha kar kaha 'qamar'
wo samne charagh hai manzil liye hue