donon gharon ka lutf judagana mil gaya
kabe se hum chale the ki but-KHana mil gaya
saqi se yun subut-e-karimana mil gaya
paimana main ne manga tha mai-KHana mil gaya
dil kyun na hum faroKHt karen is yaqin par
qimat bhi ab milegi jo baiana mil gaya
saqi ki chashm-e-mast idhar aaj uTh gai
hum ko hamare zarf ka paimana mil gaya
karni paDi na aur kahin justuju mujhe
kabe hi ke hudud mein but-KHana mil gaya
mahshar mein dekh kar unhen yun shad ho gae
goya hamein najat ka parwana mil gaya
mil kar bhi jal gaya ki bacha ye na puchhiye
itna hua ki shama se parwana mil gaya
ab dar-ba-dar ki Thokaren khane se kya gharaz
mujh ko KHuda-e-kaba-o-but-KHana mil gaya
allah re chashm-e-saqi-e-mahfil ka lutf-e-KHas
sab yun hi rah gae mujhe paimana mil gaya
wo KHat mein likh rahe hain teri aafiyat nahin
mujh ko adam ki rah ka parwana mil gaya
ai sailkan-e-jada-e-irfan baDhe chalo
but-KHana mil gaya to KHuda-KHana mil gaya
tauqir-e-ishq KHak uDane se baDh gai
ye hai ghalat ki KHak mein diwana mil gaya
pae uruj kyun na hamari farotani
phula phala wo KHak mein jo dana mil gaya
josh-e-junun ke waste ab kuchh na chahiye
virane ki talash thi virana mil gaya
paimana-o-subu ki zarurat nahin rahi
mujh ko mizaj-e-saqi-e-mai-KHana mil gaya
marqad se kushtagan-e-mohabbat nikal chuke
ab hashr tak ke waste kashana mil gaya
malum hum ne kar liye asrar-e-husn-o-ishq
taqdir se agar koi diwana mil gaya
rakh li KHuda-e-ishq ne josh-e-junun ki sharm
ghar se nikalte hi mujhe virana mil gaya
wo kah gae ki phir koi tufan uThae
ai 'nuh' mujh ko shaghl-e-qadimana mil gaya
Ghazal
Donon gharon ka lutf judagana mil gaya
Nooh Narvi