donon apne kaam ke mahir donon baDe zahin
sanp hamesha phan lahrae aur sapera bin
gurg wahan koi sar nahin karta aahu par banduq
us basti ko jangal kahna jangal ki tauhin
soKHtagan ki bazm-e-suKHan mein sadr-nashin aaseb
chiKHon ke sad ghazlon par sannaTon ki tahsin
fitna-e-shab ne KHatm kiya sab aankhon ka aazar
sare KHwab haqiqat ban gae sare wahm yaqin
hum bhi patthar tum bhi patthar sab patthar Takrao
hum bhi TuTen tum bhi TuTo sab TuTen aamin
Ghazal
Donon apne kaam ke mahir donon baDe zahin
Irfan Siddiqi