donon aalam se wo begana nazar aata hai
jo tere ishq mein diwana nazar aata hai
ishq-e-but kaba-e-dil mein hai KHudaya jab se
tera ghar bhi mujhe but-KHana nazar aata hai
shoala-e-ishq mein dekhe koi jalna dil ka
shama ke bhes mein parwana nazar aata hai
misr ka chand bhi shaida hai azal se un ka
husn ka husn bhi diwana nazar aata hai
baghban bagh mein kis shoKH ki tahrir hai ye
waraq-e-gul pe jo afsana nazar aata hai
hai ajab husn-e-tasawwur tere diwane ka
tere jaisa tera diwana nazar aata hai
un ki mast aankh mere dil mein hai raqsan 'purnam'
KHub paimane mein paimana nazar aata hai
Ghazal
Donon aalam se wo begana nazar aata hai
Purnam Allahabadi