dohra raha hun baat purani kahi hui
taswir tere ghar mein thi meri lagi hui
in bad-nasib aankhon ne dekhi hai bar bar
diwar mein gharib ki KHwahish chuni hui
taza ghazal zaruri hai mahfil ke waste
sunta nahin hai koi dobara suni hui
muddat se koi dusra rahta hai hum nahin
darwaze par hamari hai taKHti lagi hui
jab tak hai Dor hath mein tab tak ka khel hai
dekhi to hongi tum ne patangen kaTi hui
jis ki judai ne mujhe shair bana diya
paDhta hun main ghazal bhi usi ki likhi hui
lagta hai jaise ghar mein nahin hun main qaid hun
milti hain roTiyan bhi jahan par gini hui
sanson ke aane jaane pe chalta hai karobar
chhuta nahin hai koi bhi hanDi jali hui
ye zaKHm ka nishan hai jaega der se
chhuTti nahin hai jaldi se mehndi lagi hui
Ghazal
Dohra raha hun baat purani kahi hui
Munawwar Rana