dobara moajiza ho jaega kya
wo pagal phir mera ho jaega kya
lahu taza zamin par thukne se
junun ka haq ada ho jaega kya
ye dil baitushsharf hai hadson ka
ye dil maskan tera ho jaega kya
andheri raat ka daman jala kar
charaghon ka bhala ho jaega kya
teri aankhon mein pal-bhar jhankne se
mohabbat ka nasha ho jaega kya
jise hasil kiya sab kuchh ganwa kar
wo aise hi juda ho jaega kya
zarurat jis ke aage sar jhuka de
batao wo KHuda ho jaega kya
qayafa parsai ka bana kar
tu sach mein parsa ho jaega kya
agar main phoD dun suraj ki aankhen
andhera ja-ba-ja ho jaega kya
kai raaten musalsal jagne se
tu ek shair baDa ho jaega kya
mere ek lams ki hiddat pahan kar
wo patthar mom ka ho jaega kya
hamare be-bizaat faslon se
talluq narawa ho jaega kya
wo kahte hain bani lamhe mein duniya
ye sab kuchh barmala ho jaega kya
haqiqat mein tu mere samne hai
ye manzar KHwab sa ho jaega kya
'nadim' ab man ja ashaar mat likh
to yunhi bawla ho jaega kya

Ghazal
Dobara moajiza ho jaega kya
Nadeem Sirsivi