اردو हिंदी
Do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam | Shaahi Shayari
do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam

Ghazal

Do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam

Farhat Shahzad

;

do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam
yun laga hai dopahar mein jaise dar aai ho sham

us ke honTon ka kiya jab zikr mere sher ne
har samaat ke labon se ja laga labrez jam

jaise sajde mein koi gir kar na uTThe der tak
yun giri aankhon pe palken sun ke ek kafir ka nam

dukh kisi ka ho use dhaDkan mein apni sinch le
kis ne saunpa hai mere dil ko ye pagal-pan ka kaam

ab to ji mein hai ki har dukh par lagaun qahqaha
ho gai hain shahr mein aansu-bhari aankhen to aam

harf jaise ho gae sare munafiq ek dam
kaun se lafzon mein samjhaun tumhein dil ka payam

is qadar jaldi bhi kya 'shahzad' thi aaKHir bata
kya bigaDta sath gar tu aur chalta chand gam