do-jahan ke husn ka arman aadha rah gaya
is sadi ke shor mein insan aadha rah gaya
har ibaadat-gah se unchi hain mil ki chimniyan
shahr mein har shaKHs ka iman aadha rah gaya
main to ghabraya hua tha ye bahut achchha hua
yaad un ki aa gai tufan aadha rah gaya
phul mahke rang chhalke jhil par hum tum mile
baat hai ye KHwab ki ruman aadha rah gaya
tum ko aana tha nahin aae kaho main kya karun
aasman par chand sa mehman aadha rah gaya
kyun hai itni tez-rau batla meri umr-e-rawan
zindagi ki rah ka saman aadha rah gaya
muKHtasar sa likh diya 'asrar' ne un ko jawab
KHat mila par aap ka ehsan aadha rah gaya
Ghazal
Do-jahan ke husn ka arman aadha rah gaya
Asrar Akbarabadi