اردو हिंदी
Do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai | Shaahi Shayari
do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai

Ghazal

Do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai

Ezaz Afzal

;

do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai
raste mein ek diwar-e-sharafat aur hai

ab bahut duri nahin wadon ki manzil aa chali
do qadam bas moD tak chalne ki zahmat aur hai

damanon par DhunDhiye ab kyun charaghon ka lahu
hum na kahte the hawa-KHwahon ki niyyat aur hai

phir basarat ka taaqub phir ujale ka safar
Dhal chuki hai raat pal do pal ki mohlat aur hai

ghar se KHud nikle the KHemon se nikalwae gae
wo pashemani alag thi ye nadamat aur hai

subh-e-ishrat ko shab-e-gham ke tanazur mein na dekh
wo qayamat dusri thi ye qayamat aur hai

zaKHm-zaron se to sab nashtar-kade nazdik the
chaarasazo kya hua kitni masafat aur hai