do ghaDi baiThe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein
chubh gaya kanTa dil-e-hasrat-zada ke panw mein
kam nahin hain jab ki shahron mein bhi kuchh viraniyan
kis tawaqqo par koi jaega ab sahraon mein
kachchi kaliyan pakki faslen sar chhupaengi kahan
aag shahron ki lapak kar aa rahi hai ganw mein
zaKHm-e-nazzara hain jismon ki barhana Tahniyan
aise patjhaD mein khilenge phul kya aashaon mein
kya kahun tul-e-shab-e-gham pal mein sadiyan Dhal gain
waqt yun guzra ki jaise aable hon panw mein
zindagi mein aisi kuchh tughyaniyan aati rahin
bah gain hain umr bhar ki nekiyan dariyaon mein
jalte mausam mein koi farigh nazar aata nahin
Dubta jata hai har ek peD apni chhanw mein
Ghazal
Do ghaDi baiThe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein
Farigh Bukhari