do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad
tum hamesha raho ai hasrat-o-arman aabaad
tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-viran aabaad
kiya sar-afraaz kiya KHana-viran aabaad
jis jagah baiTh ke roe wo makan Dub gae
shahar hone nahin dete tere giryan aabaad
qais-o-farhad ke dam se bhi ajab raunaq thi
kuchh dinon KHub rahe koh-o-bayaban aabaad
wahshat-e-dil ye baDhi chhoD diye ghar sab ne
tum hue KHana-nashin ho gain galiyan aabaad
aamad-e-qafila-e-dard-o-alam hai sad-shukr
aaj hoti hai sara-e-dil-e-viran aabaad
miT gae dagh-e-jigar husn-e-ruKH-e-yar gaya
kal ki hai baat ki tha kya ye gulistan aabaad
tere diwanon ke jis dasht se uTThe bistar
wahshiyon se na hua phir wo bayaban aabaad
surat-e-shama hua KHak-e-badan jal jal kar
hum ne turbat bhi na ki ai shab-e-hijran aabaad
sohbaten ho gain barbaad gul-andamon ki
KHak uDti hai wahan the jo gulistan aabaad
sina o dil mein KHushi se na jagah thi gham ki
ai 'tashshuq' ye makan bhi the kabhi han aabaad
Ghazal
Do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad
Taashshuq Lakhnavi