اردو हिंदी
Do-chaar sitare hi meri aankh mein dhar ja | Shaahi Shayari
do-chaar sitare hi meri aankh mein dhar ja

Ghazal

Do-chaar sitare hi meri aankh mein dhar ja

Arshad Jamal u0027Sarimu0027

;

do-chaar sitare hi meri aankh mein dhar ja
kuchh der to ai saat-e-shab mujh mein Thahar ja

ab aur sambhaali nahin jati teri hurmat
yun kar gham-e-jaanan meri nazron se utar ja

ta-umr tera naqsh-e-farozan rahe mujh mein
ek zaKHm ki surat mere mathe pe ubhar ja

chhoD aana wahin par zara aawara-mizaji
sahra ki taraf ai dil-e-nadan agar ja

ya ho ja tu dariya ki nigahon mein taraazu
ya tishna-labi sath liye jaan se guzar ja

jab zehn ko sunni hi nahin baat tumhaari
dil tu bhi rusumat-e-tahum se mukar ja