do chaar gam rah ko hamwar dekhna
phir har qadam pe ek nai diwar dekhna
aankhon ki raushni se hai har sang aaina
har aaine mein KHud ko gunahgar dekhna
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
maidan ki haar jit to qismat ki baat hai
TuTi hai kis ke hath mein talwar dekhna
dariya ke is kinare sitare bhi phul bhi
dariya chaDha hua ho to us par dekhna
achchhi nahin hai shahr ke raston se dosti
aangan mein phail jae na bazar dekhna
Ghazal
Do chaar gam rah ko hamwar dekhna
Nida Fazli