do-chaar bar hum jo kabhi hans-hansa liye
sare jahan ne hath mein patthar uTha liye
rahte hamare pas to ye TuTte zarur
achchha kiya jo apne sapne chura liye
chaha tha ek phul ne taDpen usi ke pas
hum ne KHushi se peDon mein kanTe bichha liye
aankhon mein aae ashk ne aankhon se ye kaha
ab roko ya girao hamein hum to aa liye
sukh jaise baadalon mein nahati hun bijliyan
dukh jaise bijliyon mein ye baadal naha liye
jab ho saki na baat to hum ne yahi kiya
apni ghazal ke sher kahin gunguna liye
ab bhi kisi daraaz mein mil jaenge tumhein
wo KHat jo tum ko de na sake likh-likha liye
Ghazal
Do-chaar bar hum jo kabhi hans-hansa liye
Kunwar Bechain