do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui
jism ne jism se sargoshi ki ruh ki ruh se baat hui
do dil the aur ek sa mausam jis ki saKHawat aisi thi
main bhi ek barkha mein nahaya wo bhi abr-sifat hui
us ke hath mein hath liye aur dhup chhanw mein chalta hua
yun lagta tha sari duniya jaise mere sath hui
sari umr suragh na milta apne hone na hone ka
ye ek lahr lahu ki jaanan donon ka isbaat hui
is mausam ne jate jate ek do pal ki barish ki
phir wahi halqa panw mein aaya phir wahi gardish sath hui
Ghazal
Do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui
Razi Akhtar Shauq