do aankhon se kam se kam ek manzar mein
dekhun rang-o-nur baham ek manzar mein
apni khoj mein sargardan be-samt hujum
tanhai deti hai janam ek manzar mein
titli ko ruKHsar pe baiTha chhoD aae
hairat ko darkar the hum ek manzar mein
lamha lamha bharte jaen KHauf ka rang
gahri sham aur tez qadam ek manzar mein
ghat mein baiTha koi danish-war mujh ko
gar deta hai rose raqam ek manzar mein
ab jo apna saya DhunDhta phirta hai
ja nikle the bhul ke hum ek manzar mein
Ghazal
Do aankhon se kam se kam ek manzar mein
Sarfraz Zahid