do aalam ke aafat se dur kar de
ek aisi nazar chashm-e-maKHmur kar de
nasib-e-mohabbat hai ab wo tamanna
unhen jo taghaful se mazur kar de
tere qurb ki hae ye shan kya hai
jo idrak-e-hasti se bhi dur kar de
koi kis tarah pae us ham-nashin ko
jise justuju manzilon dur kar de
jamal us ko kahiye ki partaw hi jis ka
hijabon ko nurun-ala-nur kar de
na ab hosh ka bas na taqat junun mein
ki haal-e-tabiat ba-dastur kar de
'suha' jalwa-e-shoKH shadab un ka
shabab-e-gulistan ko be-nur kar de
Ghazal
Do aalam ke aafat se dur kar de
Suha Mujaddadi