diyon se wade wo kar rahi thi ajib rut thi
hawa charaghon se Dar rahi thi ajib rut thi
baDi haweli ke gate aage darida daman
gharib laDki jo mar rahi thi ajib rut thi
ThiThurti shab mein widai siTi ki gunj sun kar
ye aankh pani se bhar rahi thi ajib rut thi
zaif man ke liye tha mushkil ki ghar se jati
utar gaThri wo dhar rahi thi ajib rut thi
KHizan ke mausam mein sham bhi thi udas 'babar'
wo ban ke patjhaD bikhar rahi thi ajib rut thi
Ghazal
Diyon se wade wo kar rahi thi ajib rut thi
Ahmad Sajjad Babar