diye se yun diya jalta rahega
ujala phulta-phalta rahega
nahin hai banjh aawazon ki dharti
sadaon ka nasab chalta rahega
sakun ho bahr mein ya ho talatum
guhar to sip mein palta rahega
zamin par barishen hoti rahengi
samundar abr mein Dhalta rahega
na baz aaega ghaflat se bhi insan
kaf-e-afsos bhi malta rahega
chhupaoge agar 'gulzar' KHud ko
wajud apna tumhein khulta rahega
Ghazal
Diye se yun diya jalta rahega
Gulzar Bukhari