اردو हिंदी
Diye kitne andheri umr ke raston mein aate hain | Shaahi Shayari
diye kitne andheri umr ke raston mein aate hain

Ghazal

Diye kitne andheri umr ke raston mein aate hain

Safdar Siddiq Razi

;

diye kitne andheri umr ke raston mein aate hain
magar kuchh wasf hain jo aaKHiri barson mein aate hain

charagh-e-intizar aisi nigahbani ke aalam mein
munDeron par nahin jalte to phir palkon mein aate hain

bahut aab-o-hawa ka qarz wajib hai magar hum par
ye ghar jab tang ho jate hain phir galiyon mein aate hain

miyan-e-iKHtiyar-o-e'tibar ek hadd-e-fasil hai
jo hathon mein nahin aate wo phir bahon mein aate hain

koi shai mushtarak hai phul kanTon aur shoalon mein
jo daman se lipaTte hain garebanon mein aate hain

kushada dast-o-bazu ko jo patjhaD mein bhi rakhte hain
parinde agle mausam ke unhi peDon mein aate hain