اردو हिंदी
Diye ki lau se na jal jae tirgi shab ki | Shaahi Shayari
diye ki lau se na jal jae tirgi shab ki

Ghazal

Diye ki lau se na jal jae tirgi shab ki

Abrar Hamid

;

diye ki lau se na jal jae tirgi shab ki
ki din ki qadr ka bais hai har ghaDi shab ki

jo dil-KHarash hain kuchh lamhe din ke lamhon mein
to dil-faroz bhi hain saaten kai shab ki

kahan ke KHwab mere aur kahan ki tabiren
mujhe to sone na de ab sahar-gari shab ki

jo wo nahin hai to kuchh bhi nahin hai phir 'hamid'
abas hain chand ke bin raunaqen sabhi shab ki