diye ki aankh se jab guftugu nahin hoti
wo meri raat kabhi surKH-ru nahin hoti
hawa ke lams mein us ki mahak bhi hoti hai
wo shaKH-e-gul jo kahin ru-ba-ru nahin hoti
kise nasib ye shirini-e-lab-o-lahja
har ek dasht mein ye aab-e-ju nahin hoti
main harf harf mein paikar tera samota hun
ghazal to hoti hai par hu-ba-hu nahin hoti
kabhi kabhi to main KHud se kalam karta hun
kabhi kabhi to ye lagta hai tu nahin hoti
Ghazal
Diye ki aankh se jab guftugu nahin hoti
Ashraf Yusuf