اردو हिंदी
Diye ka kaam ab aankhen dikhana rah gaya hai | Shaahi Shayari
diye ka kaam ab aankhen dikhana rah gaya hai

Ghazal

Diye ka kaam ab aankhen dikhana rah gaya hai

Shaheen Abbas

;

diye ka kaam ab aankhen dikhana rah gaya hai
ye sidha jal chuka ulTa jalana rah gaya hai

hamin saman pura kar nahin pae ki chalte
so rahte rahte is jangal se jaana rah gaya hai

sar-e-koh-e-nida ye pahli pahli KHamushi hai
koi aawaz hai jis ka lagana rah gaya hai

ye do bazu hain sau thoDi hain kholun aur bata dun
mere atraf mein kis kis ka aana rah gaya hai

kaman-daron ka jashn us raat abhi banta nahin tha
main kahta rah gaya mera nishana rah gaya hai

saDak par phul ek aaya paDa hai aur musafir
kai aise hain jin ka aana jaana rah gaya hai