diyat is qatil-e-be-rahm se kya lijiyega
apni hi aankhon se ab KHun baha lijiyega
phir nahin hone ki taqsir to aisi hargiz
ab kisi tarah meri jaan bacha lijiyega
is qadar sang-dili tum ko nahin hai lazim
kisi mazlum ki gahe to dua lijiyega
laKHt-e-dil KHak mein deta hai koi bhi rahne
gir paDe ashk to aankhon se uTha lijiyega
phir na pachhtao kahin baad mere jaane ke
galiyan aur hon baqi to suna lijiyega
ruTh kar jae koi apne se pyare to wahin
chahiye aap gale paD ke mana lijiyega
apne mushtaq ko lazim hai ki gahe mahe
ghair ki aankh bacha ghar mein bula lijiyega
ek muddat hui kuchh harf-o-hikayat hi nahin
ji mein hai aaj to baaton mein laga lijiyega
kisi jalse mein jo 'iman' kaho to jaanen
ghar mein yun baiThe hue sher bana lijiyega
Ghazal
Diyat is qatil-e-be-rahm se kya lijiyega
Sher Mohammad Khan Iman