اردو हिंदी
Diya saqi ne awwal rose wo paimana masti mein | Shaahi Shayari
diya saqi ne awwal rose wo paimana masti mein

Ghazal

Diya saqi ne awwal rose wo paimana masti mein

Nushur Wahidi

;

diya saqi ne awwal rose wo paimana masti mein
ki main na-ashna pi kar hua diwana masti mein

sharab-e-atishin wo hai ki do ek ghunT pite hi
jo saqi ho to aata hai nazar paimana masti mein

nazar aata hai mujh ko boriya bhi taKHt-e-tausi
gada rakhta hai goya shaukat-e-shahana masti mein

koi kahta hai masjid hai koi kahta hai bahar ja
ilahi kya main bhula hun rah-e-mai-KHana masti mein

nasha tha mujh ko aur yaron ne chaha chhin len botal
magar kaam aa gai kuchh jurat-e-rindana masti mein

KHabar kya thi waiz hai yahi samjha ki saqi hai
uTha aur uTh ke ja lipTa main betabana masti mein

meri puja thi kaif-angez nazron ki parastari
mera sajda tha pesh-abru-e-jaanana masti mein

qadam rakhta kahin hun aur paDta hai kahin ja kar
'nushur' is waqt hun kuchh hosh se begana masti mein