diya jo saqi ne saghar-e-mai dikha ke aan ek hamein labaalab
agarche mai-kash to hum nae the pa lab pe rakhte hi pi gae sab
chalte hain dene ko hum jise dil wo hans ke le le bas ab hamein to
yahi hai KHwahish yahi tamanna yahi hai maqsad yahi hai matlab
kabhi jo aate hain dekhne hum to aap tewari ko hain chaDhate
jo har-dam aawen to kije KHafgi miyan hum aate hain aise kab kab
na pi thi hum ne ye mai to jab tak 'nazir' hum mein tha din-o-iman
laga labon se wo jam phir to kahan ka din aur kahan ka mazhab
Ghazal
Diya jo saqi ne saghar-e-mai dikha ke aan ek hamein labaalab
Nazeer Akbarabadi