diya jalaegi tu aur main bujhahunga
mujhe na chah main nafrat se pesh aaunga
main saKHt-dil hi rahunga yahi riayat hai
main bar bar tera dil nahin dukhaunga
mujhe pata nahin kya ho gaya hai kuchh din se
pata chala bhi to tujh ko nahin bataunga
main chahta hun meri baat ka asar kam ho
ziyaada der magar jhuT kah na paunga
hansi ki baat hai apni hi aur wo ye ki
mera KHayal tha main tujh ko bhul jaunga
Ghazal
Diya jalaegi tu aur main bujhahunga
Arif Ishtiaque