dinon mein din the shabon mein shaben paDi hui thin
sabhi kahaniyan ek taq mein paDi hui thin
azan gunji to mehrab mein koi bhi na tha
bas ek rehl pe kuchh aayaten paDi hui thin
sunai deta hai ab bhi muqaddas aag ke gird
wo lahn jis mein kai hairaten paDi hui thin
mujhe nawaza to peshani par likha us ne
wo nam jis mein sabhi nisbaten paDi hui thin
charagh aundhe paDe the zamin par sare
aur un ke pas mein un ki lawen paDi hui thin
na barg-o-bar hi lae na saeban hue 'turk'
hamari shaKHon pe kaisi girhen paDi hui thin
Ghazal
Dinon mein din the shabon mein shaben paDi hui thin
Zia-ul-Mustafa Turk