din wasl ke ranj-e-shab-e-gham bhul gae hain
ye KHush hain ki apne tain hum bhul gae hain
un wada-faroshon se kya kijiye shikwa
kha kha ke mere sar ki qasam bhul gae hain
jis din se gae apni KHabar tak nahin bheji
shayad hamein yarana-e-adam bhul gae hain
kaTi hain mahinon hi teri yaad mein raaten
ghaflat mein tujhe gar koi dam bhul gae hain
ya rahat-o-ranj ab hai musawat hamin ko
ya aap hi kuchh tarz-e-sitam bhul gae hain
kuchh hosh Thikane hon to len nam kisi ka
hum de ke kahin dil ki raqam bhul gae hain
go barsar-e-parKHash hai 'masrur' se tu ab
kya us ko tere lutf-o-karam bhul gae hain
Ghazal
Din wasl ke ranj-e-shab-e-gham bhul gae hain
Shaikh Meer Bakhsh Masroor