اردو हिंदी
Din utarte hi nai sham pahan leta hun | Shaahi Shayari
din utarte hi nai sham pahan leta hun

Ghazal

Din utarte hi nai sham pahan leta hun

Faiz Khalilabadi

;

din utarte hi nai sham pahan leta hun
main teri yaadon ka ehram pahan leta hun

mere ghar wale bhi taklif mein aa jate hain
main jo kuchh der ko aaram pahan leta hun

raat ko oDh ke so jata hun din-bhar ki thakan
subh ko phir se kai kaam pahan leta hun

jab bhi pardes mein yaad aata hai ghar ka naqsha
main tasawwur mein dar-o-baam pahan leta hun

ek chandi ki anguThi ke hawale se faqat
apni ungli mein tera nam pahan leta hun

'faiz' yun rakhta hun main us ki mohabbat ka bharam
us ke hisse ke bhi ilzam pahan leta hun