din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain
pardes mein jaise-taise hi ai dost guzara karte hain
KHuddar tabiat hai apni faqon pe basar kar lete hain
ehsan kisi ka duniya mein hargiz na gawara karte hain
ab lakh KHizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar pae
hum KHun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhaara karte hain
atraf hamare logon ki ek bhiD thi jab tak paisa tha
ye jeb hui ab KHali to sab log kinara karte hain
jab un ke muqabil hote hain wo baat nahin karte hum se
aur dur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain
kyun zaKHm dikhaen hum 'shamsi' ab kaun lagaega marham
sab log to dil mein hans hans kar KHanjar hi utara karte hain

Ghazal
Din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain
Hidayatullah Khan Shamsi