din raat ke dekhe hue manzar se alag hai
ye lamha to maujud o mayassar se alag hai
maujen ki bagule hon mere dil ka har ek rang
sahra hai juda aur samundar se alag hai
wo shai ki lage jis se meri ruh pe ye zaKHm
waqif hi nahin tu tere KHanjar se alag hai
poshida nahin mujh se ye duniya ki haqiqat
bahar se mere sath hai andar se alag hai
ek rang barasta hi raha mujh pe agarche
malum tha wo mere muqaddar se alag hai
tujh ko nahin malum hue jis pe fida hum
hai aur hi kuchh jo tere paikar se alag hai
us chashm-e-karam ne mujhe baKHsha jo KHazina
an-mol hai wo aur zar-o-gauhar se alag hai
us shaKHs ki ulfat ne phir ek rose bataya
qismat meri dara-o-sikandar se alag hai
Ghazal
Din raat ke dekhe hue manzar se alag hai
Mubeen Mirza