اردو हिंदी
Din ne itna jo marizana bana rakkha hai | Shaahi Shayari
din ne itna jo marizana bana rakkha hai

Ghazal

Din ne itna jo marizana bana rakkha hai

Farhat Ehsas

;

din ne itna jo marizana bana rakkha hai
raat ko hum ne shifa-KHana bana rakkha hai

intiqam aisa liya hai meri tanhai ne
shahr ka shahr bayabana bana rakkha hai

KHak ka KHana gharibana-badan hai ki jise
raunaq-e-ishq ne shahana bana rakkha hai

hum ko malum hai KHub apni haqiqat so use
usi unwan ka afsana bana rakkha hai

mubtazil hone ka aap apna maza hai warna
hum ne bhi KHud ko hakimana bana rakkha hai

aadmi ho ki KHuda sab ka barabar hai wazn
ishq ne ek hi paimana bana rakkha hai

chaak kar kar ke hue tang to diwanon ne
chaak ko ab ke garibana bana rakkha hai

'farhatullah' hai wo aql ka putla jis ne
farhat-ehsas ko diwana bana rakkha hai