din mein suraj hai meri mahrumiyon ka tarjuman
zulmat-e-shab mein sitare hijr o gham ke raaz-dan
chand suraj hain parae ajnabi hai kahkashan
hum faqiron ke liye farsh-e-zamin hai aasman
jalwa-e-mashuq bhi hai ek karishma al-aman
sat pardon mein nihan ho kar bhi har jaanib ayan
manzil-e-girya kahan hai chashm-e-tar ko kya KHabar
ta-abad bhaTega mere aansuon ka karwan
dil ko jaana tha gaya ek faltu si chiz tha
sina-e-ashiq mein yaro dil ki gunjaish kahan
bas yahi ek kaam baqi tha jo karna hai mujhe
main mohabbat bo raha hun nafraton ke darmiyan
ye fasana ishq ka yani KHazana pyar ka
sath hai tishna azal se dastan-dar-dastan
Ghazal
Din mein suraj hai meri mahrumiyon ka tarjuman
Tishna Barelvi