din le ke jaun sath use sham kar ke aaun
be-kar ke safar mein koi kaam kar ke aaun
be-mol kar gain mujhe ghar ki zaruraten
ab apne-ap ko kahan nilam kar ke aaun
main apne shor-o-shar se kisi roz bhag kar
ek aur jism mein kahin aaram kar ke aaun
kuchh roz mere nam ka hissa raha hai wo
achchha nahin ki ab use bad-nam kar ke aaun
'anjum' main bad-dua bhi nahin de saka use
ji chahta to tha wahan kohram kar ke aaun

Ghazal
Din le ke jaun sath use sham kar ke aaun
Anjum Saleemi