din ko mismar hue raat ko tamir hue
KHwab hi KHwab faqat ruh ki jagir hue
umr bhar likhte rahe phir bhi waraq sada raha
jaane kya lafz the jo hum se na tahrir hue
ye alag dukh hai ki hain tere dukhon se aazad
ye alag qaid hai hum kyun nahin zanjir hue
dida o dil mein tere aks ki tashkil se hum
dhul se phul hue rang se taswir hue
kuchh nahin yaad ki shab raqs ki mahfil mein 'zafar'
hum juda kis se hue kis se baghal-gir hue
Ghazal
Din ko mismar hue raat ko tamir hue
Sabir Zafar