din ko han kah diya to raat nahin
aap ki baat ko sabaat nahin
hijr mein din to kaT hi jata hai
nahin kaTti to ek raat nahin
kyun na aKHlaq se bari ho kalam
sher likhte hain kuchh lughat nahin
kyun hirasan hun main dam-e-mushkil
kya wo hallal-e-mushkilat nahin
ek bosa ki arz par 'raunaq'
kah gaya yar panch sat nahin
Ghazal
Din ko han kah diya to raat nahin
Raunaq Tonkvi