اردو हिंदी
Din ko din raat ko main raat na likhne paun | Shaahi Shayari
din ko din raat ko main raat na likhne paun

Ghazal

Din ko din raat ko main raat na likhne paun

Rajesh Reddy

;

din ko din raat ko main raat na likhne paun
un ki koshish hai ki haalat na likhne paun

hindu ko hindu musalman ko likkhun muslim
kabhi in donon ko ek sath na likhne paun

bas qalam-band kiye jaun main un ki har baat
dil se jo uThti hai wo baat na likhne paun

soch to leta hun kya likhna hai par likhte samay
kanpte kyun hai mere hath na likhne paun

jit par un ki laga dun main qasidon ki jhaDi
mat ko un ki magar mat na likhne paun

shukr hi shukr likhe jaun main un ke haq mein
kabhi un se main shikayat na likhne paun

apne honTon pe na la paun main apne nale
apni hi aankhon ki barsat na likhne paun

jin sawalon se tabassum mein KHalal paDta ho
kabhi wo talKH sawalat na likhne paun

KHud ko mazi mein rakhun haal mein rahte hue bhi
nae waqton ke KHayalat na likhne paun

un ki koshish hai kaleja ho mera patthar ka
un ki koshish hai main jazbaat na likhne paun