din ko bahr-o-bar ka sina chir kar rakh dijiye
raat ko phir pa-e-gul-ruyan pe sar rakh dijiye
dekhiye phir kya damakte hain gul-andaman-e-shahr
ek zara un mein mohabbat ka sharar rakh dijiye
aahuwan-e-shab gurezan hon to un ki rah mein
dam-e-dil rakh dijiye dam-e-nazar rakh dijiye
but-parasti kijiye is shiddat-e-ehsas se
sang mein bhi juzw-e-ehsas-o-KHabar rakh dijiye
zohd agar jang-azma ho khinchiye shamshir-e-shauq
husn agar madd-e-muqabil ho sipar rakh dijiye
rahat-e-jaan-e-'zafar' hain shahidan-e-be-hunar
raundne ko un ke qadmon mein hunar rakh dijiye
Ghazal
Din ko bahr-o-bar ka sina chir kar rakh dijiye
Sirajuddin Zafar