اردو हिंदी
Din ki aahen na gain raat ke nale na gae | Shaahi Shayari
din ki aahen na gain raat ke nale na gae

Ghazal

Din ki aahen na gain raat ke nale na gae

Jaleel Manikpuri

;

din ki aahen na gain raat ke nale na gae
mere dil-soz mere chahne wale na gae

apne mathe ki shikan tum se miTai na gai
apni taqdir ke bal hum se nikale na gae

tazkira soz-e-mohabbat ka kiya tha ek bar
ta-dam-e-marg zaban se meri chhaale na gae

shama-ru ho ke faqat tum ne jalana sikha
mere gham mein kabhi do ashk nikale na gae

aaj tak sath hain sarkar-e-junun ke tohfe
sar ka chakkar na gaya panw ke chhaale na gae

wo bhala pech nikalenge meri qismat ke
apne baalon ke to bal un se nikale na gae

koi shab aisi na guzri ki bana kar gesu
saikDon bal meri taqdir mein Dale na gae

ham-safar aise wafadar kahan milte hain
tere wahshi ke qadam chhoD ke chhaale na gae

apna diwan muraqqa hai hasinon ka 'jalil'
nukta-chin thak gae kuchh aib nikale na gae