اردو हिंदी
Din ke sine pe sham ka patthar | Shaahi Shayari
din ke sine pe sham ka patthar

Ghazal

Din ke sine pe sham ka patthar

Aadil Raza Mansoori

;

din ke sine pe sham ka patthar
ek patthar pe dusra patthar

ye suna tha ki dewta hai wo
mere haq hi mein kyun hua pathar

daere bante aur miTte the
jhil mein jab kabhi gira patthar

ab to aabaad hai wahan basti
ab kahan tere nam ka patthar

ho gae manzilon ke sab rahi
de raha hai kise sada patthar

sare tare zamin pe gir jate
zor se main jo phenkta patthar

nam ne kaam kar dikhaya hai
sab ne dekha hai tairta patthar

tu use kya uThaega 'adil'
'mir' tak se na uTh saka patthar