din ke pahle pahr mein hi apna bistar chhoD kar
raushni nikli hai nind apni falak par chhoD kar
wo musawwir-dar-musawwir kho rahi hai apne rang
ek dhanak bhaTki hai kitna apna ambar chhoD kar
waqt hai ab bhi mana lun chal ke us ko ek din
ghar nikal jaega warna ek din ghar chhoD kar
aansuo thoDi madad mujh ko tumhaari chahiye
gham chale jaenge warna dil ko banjar chhoD kar
KHwab aankhen chhoD kar kahiye kahan jaenge ab
silwaTen kya mar nahin jaengi chadar chhoD kar
lahr ban kar us ne thoDi dur tak pichha kiya
ja raha tha apna dariya ek shanawar chhoD kar
jal uThenge panw 'atish' un ke chhute hi zamin
KHwab gar utre meri aankhon ka bistar chhoD kar
Ghazal
Din ke pahle pahr main hi apna bistar chhoD kar
Swapnil Tiwari