din ke pas kahan jo hum raaton mein mal banate hain
bad-haalon ko KHwab hi shab bhar ko KHush-haal banate hain
us ko tasawwur tak lane mein aap hi kho jate hain hum
KHud hi phans jate hain hum aur KHud hi jal banate hain
adab ke bazaron mein in sheron ki qimat kya malum
hum to KHali kari-gar hain hum to mal banate hain
mah o sal ke malik lamhon se bhi rahte hain mahrum
hum ko dekho lamhon se bhi mah o sal banate hain
hijr mein socha tha ab dil ko pakka kar lenge lekin
wasl ke wade dil ke aahan ko sayyal banate hain
Ghazal
Din ke pas kahan jo hum raaton mein mal banate hain
Shuja Khaavar