din ka samay hai, chauk kuen ka aur bankon ke jal
aise mein nari tu ne chali phir titari wali chaal
jamunon wale des ke laDke, TeDhe un ke taur
pankh TaTolen tutiyon ke wo, phir kar har har Dal
wo shaKHs amar hai, jo piwega do chandon ke nur
us ki aankhen sada gulabi jo dekhe ek lal
sham ki ThanDi rut ne bhare hain aab-e-hayat se nain
mongron wale bagh ne oDhi gahri kasni shaal
Ghazal
Din ka samay hai, chauk kuen ka aur bankon ke jal
Ali Akbar Natiq