din ka malal sham ki wahshat kahan se laen
zar-zadgan-e-shahr mohabbat kahan se laen
sarf-e-shumar-e-daulat-e-duniya hue jo log
wo na-murad dil ki imarat kahan se laen
sara lahu to sarf-e-shumar-o-adu hua
sham-e-firaq-e-yar ki ujrat kahan se laen
wo jin ke dil ke sath na dhaDka ho koi dil
zinda bhi hain to us ki shahadat kahan se laen
do harf apne dil ki gawahi ke waste
kahna bhi chahte hon to jurat kahan se laen
be-chehra log chehra dikhane ke shauq mein!
aaine mang lae hain hairat kahan se laen
apne hi naqsh-e-pa ke aqidat-guzar log
kuchh aur dekhne ko basarat kahan se laen
kuchh zargiran-e-shahr ne ahl-e-kamal ka
chehra bana liya qad-o-qamat kahan se laen
ujDe nahin kabhi wo jo TuTe nahin kabhi
wo log harf likhne ki quwwat kahan se laen
jab dar hi band hon koi KHushbu kahan se aae
gar lafz likh bhi den to halawat kahan se laen
Ghazal
Din ka malal sham ki wahshat kahan se laen
Razi Akhtar Shauq